yun hi tik tik kar ke chalti jati hai ye zindagi,
har pal ek naya tazurba,ehsaas aur sikh de jati hai ye zindagi,
har kisi ko ek naye mukaam ki talash mein ,sangarsh karati hai ye zindagi,
na jane kitne khwaab aakhon se siye jati hai ye zindagi ,
hasati bhi hai ,rulati bhi hai,khoon ke ghoont pilati bhi hai
woh ham hi hai jo nahi samajh patey iske kuch anchuye lamhon ko,
yahi toh aalam hai is nacheez ka,
bas is tarah hi jiye jati hai zindagi,
toh yaron isse pahle ki ye apna rukh badle, banao ise itna haseen
ki woh upar baitha khuda bhi ise jine ko tarsey,
aur zarre zarre se bas yahi goonj uthe ,wah zindagi, wah zindagi,wah zindagi
Wednesday, 16 September 2009
dil ke marijo ke liye
ye rahein nahi hai aasan -e bande
kaanto par chal kar hi milte hai,phulon ke guldaste,
yahan sar ko bhi katana padta hai,dil ko bhi jalana padta hai
ye maidan -e -isq hai mere dost,jo ekbaar toh fanna kar jata hai'
par jo sala isme thokar khata hai,wo sada ke liye isse tauba kar jata hai,
beshak insaan is khoobsurat paheli se ruswa kar jata hai
par waqt ,halaat aur kaynatwapas use usi mod par le k aata hai,
aur jo banda gumani se is mod ko par kar jata hai
wahi us khuda ki nazar asli muqaddar ka sikandar kehlata hai
muqaddar ka sikander kehlata hai

on reservation
arakshan toh bas ek bahana hai,
asal cheez toh paisa aur kursi kamana hai,
ye is gandi rajniti ka ek aur naya bahana hai,
bas dharm ke naam par, masum logo ko ladana hai
par apne desh ki janta bhi toh kuch kam nahi,
chot khaye bina yahan aajtak kisi ko kuch samaj aaya hai,
toh mere padhe likhe sathiyo hum toh samajh sakte hai'
ki jis tarah bina tapat ke kundan kabhie sona nahi ban paya hai,
usi tarah bina mehnat or hunar ke ,wo upar baitha khuda bhi
kisi ki taqdeer nahi badeal paya hai
kisi ki taqdeer nahi badal paya hai

bemausam lecture ki barsaat(for our lady prof.of SIT)
mausam ke nazakat ke kuch toh khata kiziye ,
daru aur chilem naa sahi,kamsekam chai ki chuski toh liziye
is kadar is mausam ke andaaj ko nazarandaz na kiziye
agar mahaul ban raha hai ,toh banne dijiye
yoon is tarah class le kar isme kida toh mat kijiye
ho sakey toh hamare saath aap bhi chaliye
aur barish ka maza clg mein thumke laga kar lijiye

Friday, 11 September 2009
mohabbat-e -watan(inspired by ignited minds)
zindagi ek shamiyana hai,yahan kuch kar gujar k jana hai,
khali hath aaye the hum ,aur khalin hath jana hai
toh yaron jagao apne dilon mein diye josh aur deshbhakti kay
kyunki bharat kii is bigadti surat ko hume hi badal kar jana hai
Subscribe to:
Posts (Atom)