Friday 9 October, 2009

haqueqat -e-shayari(shayari kya hai???)

shayari kya hai,
jaise bahte pani se uthati hui ek lehar,
yaa fir kisi shant samundar kii khamoshi me chipi hui anjani si ek kahar,
shayari kya hai,
do pyar karne walon kii dil kii dhadkano kii juban,
yaa phir pyar me hare insaan ki dard-e-dastaan
shayari kya hai,
doston ke saath bitaye har us pal kii mithi yaad,
yaa phir tanhai mein akele hone ka ek teekha sa ehsaas,
shayari kya hai,
sab kuch bolkar kuch bhi nahi kehne kii sada,
yaa phir chup rehkar bhi sab kuch keh dene kii ada,
shayari kya hai,
mazhab ke banaye dayre ko todkar ,kisi aur ka haath thaam lene kii himmat,
ya phir,bane banaye samaj ke gande niyamo ke samne ghutne tek dane kii siddat,
jaam ke tute paimane mein aur chillem (hukke)kii har ek kas(drag) mein
shayari kya hai?
nashe mein dhurt kisi sharabi kii baton mein shayari kya hai?
phuloon kii bhini khusboo me,aur bhouro ke gunjan mein
koyal kii ku ku mein aur wadiyo mein kadkadati bijli ki awaj me shayari kya hai??
shayari sayad ek aisi sacchai hai,ek aisi takat hai,
jo sayad har kisi ke bahut andar chipi hai
sayari naa gita hai ,na quran hai,naa bible hai,
ye toh yaron uss sacche badshah ki ,us parwardidar kii aisi khudai hai
ja mane uske liye toh sacchi jubani hai
par jo na mane uske liye bas ek sapna,ek kalpana aur adhuri sii kahani hai

adhuri si kahani hai......................

Saturday 3 October, 2009

ladki ka kida(for juniors)

apne college kii har ladki toh hai ek phool(sorry fool)
jo banti hai kafi hot ,par andar se inka mamla hai
thanda thanda cool cool
toh yaron mat ho jana inme tum itna mashgool
kii jao tum apni vidya(not our principal director) ko bhool
kyunki agar isme tumhari battery ho gayi gul
toh khuda kii kasam ,us ladki kaa toh pata nahi
par tumharey toh is semester mein back aane ke chances hai full
aur agar rakhoge apne tharak par thoda thand aur samajh
toh life hogi rocking ,aur college lyf karoge rule.........

valentine's day ka dard(in SIT)

mana ki ye v'day ,(SIT) ke ladko ko ek teekha sa dard de gaya
janey anjaney mein har ladke ko ek zahreela teer de gaya,
par ye bhi sach hai ki is saal kii kaliyan bhuji hui hai
par yadi khuda ne chaha toh ,
aane wale salon mein gulshan mein gulaab jaroor khilenge
aur hum bhi symbi ke asli crowd ka hissa banenge
toh admission karne walon se ye gujarish hai hamari,
kamse kam ladkiyon ka dakhila toh woh chera dekh ke karenge

dastan -e -tashrif(b'day celebration)

kii us raat jo mere yaron ke haath meri tashrif ko choom gaye,
ek ek kar ke na jane kitne bum meri rehmat par phat gaye
ab hal-e-tashrif aapko bataye bhi to kaise ,
kyunki iska bhi apna ek alag saaj hota hai,
jo ek saath chaliis haath khata hai ,sirf wahi bata pata hai
par samajh nahi aata ye ek saza hai ki maza hai
par yakin maniye har clg ki tamam tashrif me se
kuch toh iski goonj se bhi khaufzada hai
par ye dastoor bhi kafi purana hai ,jo is jahan me har kisi ko nibhana hai
shukra karo yahan toh sirf hatth padtey hai,kahi kahi toh laat bhi khana padta hai
toh yaron chodkar ye darde tashrif jiyo in palon ko,
kyunki inhi ke saath toh hame aage jana hai
aur waise bhi ye toh b.tech hai,
tuff banana hi toh iska fasana hai
tuff banana hi toh iska fasana hai