Thursday 17 March, 2011

Friday 18 February, 2011

woh teekha samosa, woh thanda saa pani.......(clg lyf flashbak)

yeh degree bhi lelo, yeh naukri bhi lelo
bhale mujse lelo tum ye US ka visa
magar mujhko lauta do, college ka canteen
woh teekha samosa woh thanda saa pani
woh cllg ki sabse purani nishanni,
woh chai wala jisko sab kehte the JAANI

woh jaani ke hathon ki kuting chai mithi,
woh chupke se journal mein jo bheji thi chitthi,
woh padhtey hi chitthi ka uska bhadaknaa
woh chehre ki laali, woh aankhon kaa gussa
woh dilkash aadayein, woh hoth gulabi
woh teekha samosa woh thanda sa paani
 
kadi dhoop mein hostel se nikalnaa
woh project ki khatir thaa darr darr bhatakna
woh lecture mein yarron ki proxy lagana
woh proffesors ke piche comment pass karna
aur pjs par unke  jor jor se   hasnaa
woh teekha samosa woh thanda saa pani

woh seminar ke din pairon ka chat pataana
woh dusro ke assignments ko apna banana
woh submissions ke raton ko jagna jagana
woh slogans banana woh sor machana
woh exams ke dino mein bechain hona
aur notes ke jugaad mein mare maare firna
woh vivas ke kisse woh practicals ki kahani
woh teekha samosa woh thanda saa pani

woh gudang garam ki raatein, woh benson lights ki subah
woh beer woh baatein,  woh sheila woh munni
woh poker ki chalein,woh madhmast raatein
woh gathering ke din yun ladna jhagadnaa
woh kudiyon ka yun hi hamesha akaddnaa

bhulaye nahi bhool sakta hai koi,
yeh pyara saa campus , yeh engg ka jamana
yaad aayenge yeh pal, yeh cllg  ki kahani
woh teekha samosa woh thanda saa pani............
woh teekha samosa woh thandaa sa paani..............


























raat ka nasha!!!!!!!!

yeh raat bhi yaaron badi manchali hoti hai,
kisike liye raatrani to kisi ke liye chameli hoti  hai,
iske aayine mein naa jane kitne raaj chipe hotey hai
wo wahi jaan patey hai jo har raat  ise  madhosi mein jitey hai
par iske nasey ka manzar bhi bada nashila hota hai
 yakin maniye kisi ke liye RUM toh kisike liye TAKILA hota...............