shayari kya hai,
jaise bahte pani se uthati hui ek lehar,
yaa fir kisi shant samundar kii khamoshi me chipi hui anjani si ek kahar,
shayari kya hai,
do pyar karne walon kii dil kii dhadkano kii juban,
yaa phir pyar me hare insaan ki dard-e-dastaan
shayari kya hai,
doston ke saath bitaye har us pal kii mithi yaad,
yaa phir tanhai mein akele hone ka ek teekha sa ehsaas,
shayari kya hai,
sab kuch bolkar kuch bhi nahi kehne kii sada,
yaa phir chup rehkar bhi sab kuch keh dene kii ada,
shayari kya hai,
mazhab ke banaye dayre ko todkar ,kisi aur ka haath thaam lene kii himmat,
ya phir,bane banaye samaj ke gande niyamo ke samne ghutne tek dane kii siddat,
jaam ke tute paimane mein aur chillem (hukke)kii har ek kas(drag) mein
shayari kya hai?
nashe mein dhurt kisi sharabi kii baton mein shayari kya hai?
phuloon kii bhini khusboo me,aur bhouro ke gunjan mein
koyal kii ku ku mein aur wadiyo mein kadkadati bijli ki awaj me shayari kya hai??
shayari sayad ek aisi sacchai hai,ek aisi takat hai,
jo sayad har kisi ke bahut andar chipi hai
sayari naa gita hai ,na quran hai,naa bible hai,
ye toh yaron uss sacche badshah ki ,us parwardidar kii aisi khudai hai
ja mane uske liye toh sacchi jubani hai
par jo na mane uske liye bas ek sapna,ek kalpana aur adhuri sii kahani hai
adhuri si kahani hai......................
wah wah ...
ReplyDeletekya baat hai...
Bahut achi likhi hai...
sachayi par likhi hai..